Lakshmi Chalisa
दोहा
मातु लक्ष्मी करि कृपा करो हृदय में वास ।
मनो कामना सिद्ध कर पुरवहु मेरी आस ॥
सिंधु सुता विष्णुप्रिये नत शिर बारंबार ।
ऋद्धि सिद्धि मंगलप्रदे नत शिर बारंबार ॥ टेक ॥
सिन्धु सुता मैं सुमिरौं तोही । ज्ञान बुद्धि विद्या दो मोहि ॥
तुम समान नहिं कोई उपकारी । सब विधि पुरबहु आस हमारी ॥
जै जै जगत जननि जगदम्बा । सबके तुमही हो स्वलम्बा ॥
तुम ही हो घट घट के वासी । विनती यही हमारी खासी ॥
जग जननी जय सिन्धु कुमारी । दीनन की तुम हो हितकारी ॥
विनवौं नित्य तुमहिं महारानी । कृपा करौ जग जननि भवानी ॥
केहि विधि स्तुति करौं तिहारी । सुधि लीजै अपराध बिसारी ॥
कृपा दृष्टि चितवो मम ओरी । जगत जननि विनती सुन मोरी ॥
ज्ञान बुद्धि जय सुख की दाता । संकट हरो हमारी माता ॥
क्षीर सिंधु जब विष्णु मथायो । चौदह रत्न सिंधु में पायो ॥
चौदह रत्न में तुम सुखरासी । सेवा कियो प्रभुहिं बनि दासी ॥
जब जब जन्म जहां प्रभु लीन्हा । रूप बदल तहं सेवा कीन्हा ॥
स्वयं विष्णु जब नर तनु धारा । लीन्हेउ अवधपुरी अवतारा ॥
तब तुम प्रकट जनकपुर माहीं । सेवा कियो हृदय पुलकाहीं ॥
अपनायो तोहि अन्तर्यामी । विश्व विदित त्रिभुवन की स्वामी ॥
तुम सब प्रबल शक्ति नहिं आनी । कहँ तक महिमा कहौं बखानी ॥
मन क्रम वचन करै सेवकाई । मन-इच्छित वांछित फल पाई ॥
तजि छल कपट और चतुराई । पूजहिं विविध भाँति मन लाई ॥
और हाल मैं कहौं बुझाई । जो यह पाठ करे मन लाई ॥
ताको कोई कष्ट न होई । मन इच्छित फल पावै फल सोई ॥
त्राहि-त्राहि जय दुःख निवारिणी । त्रिविध ताप भव बंधन हारिणि ॥
जो यह चालीसा पढ़े और पढ़ावे । इसे ध्यान लगाकर सुने सुनावै ॥
ताको कोई न रोग सतावै । पुत्र आदि धन सम्पत्ति पावै ॥
पुत्र हीन और सम्पत्ति हीना । अन्धा बधिर कोढ़ी अति दीना ॥
विप्र बोलाय कै पाठ करावै । शंका दिल में कभी न लावै ॥
पाठ करावै दिन चालीसा । ता पर कृपा करैं गौरीसा ॥
सुख सम्पत्ति बहुत सी पावै । कमी नहीं काहू की आवै ॥
बारह मास करै जो पूजा । तेहि सम धन्य और नहिं दूजा ॥
प्रतिदिन पाठ करै मन माहीं । उन सम कोई जग में नाहिं ॥
बहु विधि क्या मैं करौं बड़ाई । लेय परीक्षा ध्यान लगाई ॥
करि विश्वास करैं व्रत नेमा । होय सिद्ध उपजै उर प्रेमा ॥
जय जय जय लक्ष्मी महारानी । सब में व्यापित जो गुण खानी ॥
तुम्हरो तेज प्रबल जग माहीं । तुम सम कोउ दयाल कहूँ नाहीं ॥
मोहि अनाथ की सुधि अब लीजै । संकट काटि भक्ति मोहि दीजे ॥
भूल चूक करी क्षमा हमारी । दर्शन दीजै दशा निहारी ॥
बिन दरशन व्याकुल अधिकारी । तुमहिं अक्षत दुःख सहते भारी ॥
नहिं मोहिं ज्ञान बुद्धि है तन में । सब जानत हो अपने मन में ॥
रूप चतुर्भुज करके धारण । कष्ट मोर अब करहु निवारण ॥
कहि प्रकार मैं करौं बड़ाई । ज्ञान बुद्धि मोहिं नहिं अधिकाई ॥
रामदास अब कहै पुकारी । करो दूर तुम विपति हमारी ॥
दोहा
त्राहि त्राहि दुःख हारिणी हरो बेगि सब त्रास ।
जयति जयति जय लक्ष्मी करो शत्रुन का नाश ॥
रामदास धरि ध्यान नित विनय करत कर जोर ।
मातु लक्ष्मी दास पर करहु दया की कोर ॥
Doha
Maatu Lakshmi kari kripa karo hriday mein vaas.
Mano kaamna siddh kar purvahu meri aas.
Sindhu suta Vishnu priye nat shir baarambaar.
Riddhi Siddhi mangal prade nat shir baarambaar.
Chaupai
Sindhu suta main sumirau tohi.
Gyaan buddhi vidya do mohi.
Tum samaan nahin koi upkaari.
Sab vidhi purbahu aas hamaari.
Jai Jai Jagat Janani Jagadamba.
Sabke tumhi ho swalamba.
Tum hi ho ghat ghat ke vaasi.
Vinti yahi hamaari khaasi.
Jag Janani Jai Sindhu Kumaari.
Deenan ki tum ho hitkaari.
Vinavau nitya tumhin Mahaaraani.
Kripa karo Jag Janani Bhavaani.
Kehi vidhi stuti karau tihaari.
Sudhi leejai apraadh bisaari.
Kripa drishti chitavo mam ori.
Jagat Janani vinti sun mori.
Gyaan buddhi jai sukh ki daata.
Sankat haro hamaari Maata.
Ksheer Sindhu jab Vishnu mathaayo.
Chaudah ratna Sindhu mein paayo.
Chaudah ratna mein tum sukhraasi.
Seva kiyo Prabhuhin bani daasi.
Jab jab janm jahaan Prabhu leenha.
Roop badal tahan seva keenha.
Swayam Vishnu jab nar tanu dhaara.
Leenheu Avadhpuri avataara.
Tab tum prakat Janakpur maahin.
Seva kiyo hriday pulakaahin.
Apnaayo tohi Antaryaami.
Vishwa vidit Tribhuvan ki Swaami.
Tum sab prabal shakti nahin aani.
Kahan tak mahima kahau bakhaani.
Man karam vachan karai sevakaai.
Man ichchhit vaanchhit phal paai.
Taji chhal kapat aur chaturai.
Poojahin vividh bhaanti man laai.
Aur haal main kahau bujhaai.
Jo yah paath kare man laai.
Taako koi kasht na hoi.
Man ichchhit phal paavai soi.
Traahi Traahi Jai dukh nivaarini.
Trividh taap bhav bandhan haarini.
Jo yah Chalisa padhe aur padhaave.
Ise dhyaan lagaakar sune sunaave.
Taako koi na rog sataave.
Putra aadi dhan sampatti paave.
Putra heen aur sampatti heena.
Andha badhir kodhi ati deena.
Vipra bolaay kai paath karaave.
Shanka dil mein kabhi na laave.
Paath karaave din Chaalisa.
Taa par kripa karain Gaurisa.
Sukh sampatti bahut si paave.
Kami nahin kaahu ki aave.
Baarah maas karai jo pooja.
Tehi sam dhanya aur nahin dooja.
Pratidin paath karai man maahin.
Un sam koi jag mein naahin.
Bahu vidhi kya main karau badaai.
Ley pareeksha dhyaan lagaai.
Kari vishvaas karain vrat nema.
Hoy siddh upjai ur prema.
Jai Jai Jai Lakshmi Mahaaraani.
Sab mein vyaapit jo gun khaani.
Tumharo tej prabal jag maahin.
Tum sam kou dayaal kahun naahin.
Mohi anaath ki sudhi ab leejai.
Sankat kaati bhakti mohi deejai.
Bhool chook kari kshama hamaari.
Darshan deejai dasha nihaari.
Bin darshan vyaakul adhikaari.
Tumhin akshat dukh sahate bhaari.
Nahin mohin gyaan buddhi hai tan mein.
Sab jaanat ho apne man mein.
Roop chaturbhuj karke dhaaran.
Kasht mor ab karahu nivaaran.
Kahi prakaar main karau badaai.
Gyaan buddhi mohin nahin adhikaai.
Ramdas ab kahai pukaari.
Karo door tum vipati hamaari.
Doha
Traahi Traahi dukh haarini haro begi sab traas.
Jayati Jayati Jai Lakshmi karo shatrun ka naash.
Ramdas dhari dhyaan nit vinay karat kar jor.
Maatu Lakshmi daas par karahu daya ki kor.